How to add others post links in a Post


Consist of that texts "Blog Ki Post Main Doosri Posts K Links Kaise Add Karen"



Aaj ki Post me mein aapko btaunga K Blog ki post me doosri posts K links kaise daalte hein ta ke Readers apki post read kartay huye dekh sakay ke iske ilawa kon konsi posts hain apke blog par aur kin topics par hain.






Blog Post main Dosri Posts Ke Links Daalny Ke Kia Kia Faiday hain.



Point. 1 Agar aap aisa karengey to visiters Ko ko aapki doosri important posts K barey m pta chlega.




Point . 2 Jab wo link wali post par click karega to is ki waja se use mazeed kuch time Blog Par rukna phrega and is se aapko faida hoga and apk Blog ka bounce rate b km hoga, bounce rate tb increase hota hai jab Readers apki kisi post par ata hai aur begher clicks kiye chala jata hai aur aisa karny say Bounce Rate main izafa hota hai jo Apke Blog ke liye sahi nahi hai.


Yaad Rakhen:


Blog post me doosri posts K links 5-7 se ziada na daalein iski waja se visiter disturb B ho sakta hai and ho sakta hai wo dobara apk Blog par na aye.





Blog Ki Posts Me Doosri Posts K Links Kaise Daalein.



Step 1 . Sabse pehle blogger.com par login ho kar dashboard Me jayein or new post par click karein.







Step 2. Ab post editor open hoga usme upar ki taraf jahan bohot saray icons hongy un mesy is par click karen jo nechy photo main dikhaya jaa raha ha. 

Icon of link in the post editor





Step 3. Ab ek new pop-up window open hogi usme first line me text to display K agay Doosri jis post ka link daalna hai us post ka title likhen.




Second line mein us post ka link add karein.



Ab web address likha hoga uspar tick karein ya agar apko post K Liye email daalna hai to ap email B daal sakte hein.


Link test par click kar K aap check kar sakte hein K jo link apne daala hai thek hai ya nahi.




Open this link on a new window




Agar aap chahte hein K visiter link par click kare to new window me post open ho to yahan tick kardein.



Add 'rel=nofollow' attribute== Agar aap chahte hein K apki link wali post Ko search engine index na kare to yahan tick kardein warna agar aap na chahen toh isy ignore kardein and OK par click kardein.




Ab successfully link add ho chuka hai mazeed links add karne keliye phir say is process ko repead kar saktay hain.




Main umeed karta hun ke yeh post jokay blog ki post main dosri posts k links add karne ke baray main thi aapko pasand ayi hogi.