Blog Post Main Image Ki SEO Comple Guide


Pink Color Background and written in text that Blogger Post Main Image Ki SEO Kaise Karen [Full Guide] Tehseen Tricks



Is article main aap janengy ke blogger ki post main Image Ki SEO kaise karte hain jis say hamari Image b Search Engime Results Pages main Rank kare.



Image SEO friendly banane ke Faiday


Agar hamari image SEO friendly hogi to iskay bohot saray faiday hain

Hamari posts ki images agar SEO friendly hongi to Google say ham achi traffic le saktay hain Images k through b.


・Images SEO friendly hone say blog kafi attractive lagta hai, baaz log images blog par bohot he km lagaty hain jo kay achi baat nahi hai.


Blog Keliye Post Kaise Likhein Puri Jaankari


Image Ko SEO Friendly Kaise Banayen Important Points



Point 1# Image Ka Name Image ke related ho


Ap jo image post main daal rahe hain uska naam post se related hona chahiye, aisa na ho ke image ke naam aise hon jin say yeh na pata chal raha ho ke image ke andar kiya hai. Example k liye aap yeh screen shot dekh lain jo nechy maine lagaya hai, apny is tarah ke names jo automatically ban jatay hain jab aap screenshot lain ya mobile ke camera se uthaen, inka name change karke image ke related banany ke baad he image upload karen.


Image ka name aisa nahi rakhna
Image ka naam aisa ho to zaroor change
 karke post ke related rakhen


Iske ilawa b camera ki images ke naam automatically image001 image 0034 etc is tarah ke ban jatay hain, Aisi images ka naam blog ki post main upload karne say pehle zaroor change karke Image ke relevent he rakhen, yeh b Image SEO ka important factor hai.





Point 2# Image Ka Size 100kb se km ho


Image ki size hamesha 100 kb se km he rakhain, agar apki images ki siza is say ziada hogi to load hone main ziada time lagaegi jo kay users ke liye pareshani ki bahis ban sakta hai kiu ke hoskta hai k user apki post ko leave karke kisi aur blog ko visit kare.


Images ka size km karny keliye bohot sari website aur apps hain jesa ke WPSmush, ImageCompressor.com etc, aap inka use karke size ko km kar saktay hain.





Point 3# image Copied na ho 


Image kabhi b Google se utha kar mat lagae balkay khud say create karen ta ke kabhi b copyright ka issue na aye. Bohot saray software hain jin par aap images bana saktay hain.


Images ki editing keliye bohot achy achy apps hain jesa ke Pixabay, Pixellab, Canva etc aap inka use karke image ki editing kar saktay hain.



Blogspot Blog Ka Backup Kaise Banayen



Point 4# Alt Text Add Karen


Image blog ki post main upload karne ke baad uska Alt Text lazmi daalen. 

Alt Text define karta hai ke apki image main kia hai. Alt Text lagany ka bohot bhra faida yeh b hai ke Google ka crawler image ke Alt Text ko dekhty huye he usy rank karwata hai warna crawler nahi samajh pata ke image ke andar kia likha hua hai ya image kia bayan kar rahi hai, Alt Text ya Alt Attribute un logon keliye helpful hota hai jo blind hon aur image na dekh saktay hon, iske ilawa agar kisi user ke pas internet connection fast na ho jiski wajha say image pori tarha se upload na huyi ho toh voh b Alt Text se jaan sakta hai k image kis baray main hai.





Point 5# Title Text


Image ka title b zaroor dain yeh b image rank karany ke liye important factor hai.






Point 6# Image Caption


Image ke sath caption lagany ka option b hota hai agar aap image ko mazeed explain karna chahen to caption b de saktay hain yeh post ke andar readers ko dikhayi deta hai jabkay Alt Text aur Title text ko readers nahi dekh saktay. 


Point 7# Image Type


Images ki bht sari types hoti hai for example BMP, GIF, JPEG, WebP, PNG, SVG etc lekin blog posts ke liye ziada tar PNG Ya JPEG ya WebP ko use kiya jata hai aur sabse ziada use to JPEG ka he kiya jata hai kiu k iska size km hota hai jabke PNG images ka size ziada hota hai. Blog post keliye koshish karen ke JPEG images ko he rakhi jayen.


Main umeed karta hun ke Image SEO friendly banay ke liye in points nay aapki rehnmayi ki hogi. Mazeed posts b read karty raha karen. Khush rahen.