Blog Keliye Aik Achi Post Kaise Likhein Full Information

Is post ma main apko btaunga ke kaise aap apny Blog ke liye aik achi post likh saktay hain jo k On Page SEO ke mutabiq ho aur Indexing ke baad Search Engine Result Pages main sahi rank ho. Har aik blogger ki yeh khuaish hoti hai uski post Google main Top pages par Rank kare lekin apni post ko aisa banany waly km he hotay hain ke jo Rank hone ke qabal b ho. Is post ma complete information dene ki koshish karunga iske ilawa phir b aapka koi question ho toh aap comment karke poch saktay hain, mujhe aapki help karke khushi hogi.


Blog Keliye Post Kaise Likhein Puri Jaankari



SEO Friendly Post Blog Keliye Kaise Likhein



#1 Post Title


Har Post likhny say pehle uske liye aik Title select kiya jata hai jokay yeh batata hai ke post kis baray main hai ya post parh kar aapko kia milega. 
Post ka Title keliye zaroori hai ke aap Keyword Research karlen ke konsy keywords par aapny apni post daalni hai. Jab aapny keyword Research karli toh uske baad aapny uske liye comple aik Title rakhna hota hai main kuch Titles ki example deta hon ta ke aap samajh saken ke Title kis tarah ka hota hai, aur uske baad main aapko btaunga ke kaise aap Article keliye aik acha Title rakh saktay hain.

Blog Main Labels Gadget Ko Kaise Add Karen

Blog Ki Post Main Dosri Posts Ke Links Kaise Add Karen


Title Likhny Keliye Tips

Title ko na he ziada chota rakhen aur na he ziada lama rakhen matlab ke na toh 20 letters se km letters ka Title ho aur na 60 letter se opar jaye.
Title ka jo main keyword ho usy Title ke start main ya darmayan main rakhen lekin last par hargiz na rakhen for example


Labels Gadget Ko Blog Main Kaise Add Karen Very Nice

Blog Main Labels Gadget Ko Kaise Add Karen  Good
Kaise Add Karen Blog Main Labels Gadget 
Bad



#2 Heading Or Major Heading


Post ke start main sabse pehle aapko Heading deni hoti hai aur yeh aap post post main aik he baar deni hoti hai, agar aap chahe to 2 ya us say ziada baar b Heading de saktay hain lekin esa karna sahi nahi hota hai normally aik web page main aik he heading di jati hai.


Maan lijiye aapki post hai ke Labels Gadget Ko Blog Main Kaise Add Karen to aap iske liye kuch is tarah say Heading de saktay hain


Blog main Labels Gadget Ko Add Karen Simple Steps main

Simple Steps Main Labels Gadget Ko Blog Main Daalen





#3 First Paragraph


Heading ke baad aapki post ka pehla paragraph start hojata hai isme aap greeting ke baad post k baray main thora bohot intro dety hain. Jesa ke Hi readers main umeed karta hun k aap sab theak hongy is post main main apke sath share karunga ke aap apny blog main labels gadget ko kaise add kar saktay hain boh b easy steps main bina kisi dikkat ke....etc





#4 Sub Heading

Heading ke baad aap Sub Heading(H2) ka use kar saktay hain. Aur phir agar isi Sub Heading main koi aur 2 alag topics aa jatay hain toh aap Minor Heading ka use kar saktay hain.

Yaad rahe post keliye hamesha content unique he daalen warna Google apki posts ko Rank nahi karega, Rank toh kia agar aap Articles ko copy karke likheingy ya Chat GPT ki madad say likhengy toh Google aapk blog ko band b kar sakta hai, so hamesha genuine content he likhein.





#5 Dosri Posts Ke Link Daale

Agar aap chahen to post ke andar apni dosri posts ke link b add kar saktay hain, ta ke users apke blog par ziada se ziada time spend kare, iske Google ki nazar main apke blog ki ehmiyat barhegi.





#6 Anchor Text

Anchor Text ka matlab hota hai aise text jo clickable hon, yanhi jispar click karne ke baad users ke samny aik naya web page open ho. Yeh mostly paragraph main add kiye jatay hain, iski sabse bhri misaal WikiPedia hai jiski har post main aapko bohot saray Anchor Text mil jatay hain. aap apny blog par anchor text ka istemaal b zaroor karen.




#7 Post Ki Setting Kaise Karen.



Post Editor ki right side par Post Setting ka option hota hai jiski madad se aap post Labels, links, post description etc add kar saktay hain. Baari baari in sabko option ko dekh letay hain.




#1 Labels Option Ka Kia Use Hai Aur Kaise Karen


Labels ka option isliye hota hai ke aap apni posts ki grouping/categories bana saken. Jesa ke agar aapki post Youtube ke baray main hai to aap uska Label YouTube rakh saktay hain Poetry k baray main hai toh Poetry ka label de saktay hain. Yeh laganay keliye simply labels ke button par click karen to Separate labels by commas likha hua ayega wahan aap labels add kar saktay hain, agar aap kisi post ke aik say ziada labels rakhna chahty hain toh har label ke sath Comma laga kar agly label ka naam likhein.


Tips:

Labels hamesha post ke relevent rakhen.
Aik post keliye minimum 1 label aur maximum 3 ya 4 rakhen is say ziada nahi.



#2 Published On

Is mein date keliye 2 options hongy ya toh aap Set date and time par jakar apni marzi ki date aur date de saktay hain ya toh aap Automatic ko tick kar saktay hain. Agar aap marzi ki date rakhna chahen to nechy aap date rakh saktay hain aur time b select kar saktay hain nahi toh main aapko recommend karunga k jis date ko aap post publish kar rahe hain vohi date rakhen toh best hai.


#3 Links

Isme aap apni post ka URL ya Permalink dekh saktay hain yahan Automatic Permalink aur Custom Permalink 2 options hongy. 

#2 Automatic Permalink

Isme Post ka URL automatically lag jata hai example keliye isi post ka Automatic Permalink dekh lain.

https://www.tehseentricks.com/2023/06/blog-keliye-post-kaise-likhein-puri.html


#1 Custom Permalink

Isme aap apny hisab se Permalink/URL de saktay hain nechay aap jo b likhengy voh Permalink ma add hota jaega jesa ke aap Screenshot ma dekh saktay hain.


Permalink Screenshot



Title Link

Yahan aap link keliye title de saktay hain.


Enclosure Link

Enclosure link tb kaam ata hai jab aap post main koi MP, Podcast etc ki file add kartay hain, blogger par jab aap istarah ki file add kartay hain to Enclosure Link Automatically generate ho jata hai lekin aap isy manually change b karskty hain.


Add Mime Type

MIME ka matlab hota hai Multipurpose Internet Mail Extension Yeh file ki extension ko show karta hai ke apki file kis type ki hai for example Document file, Audio, Podcast etc. Jab aap blogger par koi file apny post main add lartay hain toh yeh b automatically add hojata hai. Iske ilawa agar aap aur Enclosure Link ya MIME Type add karna chahen toh kar saktay hain lekin iski zaroorat nahi hoti.


#4 Location

Yahan aap apny readers keliye apni location add kar saktay hain ke aap kis country aur uski konsi City se hain.




#5 Search Description


Search Description main aap apni post ke baray main description likh saktay hain ta ke jab apki post Google ke SERPs par show ho to uske sath aapka diya hua description b dikhayi de. Yeh ap maximum 150 letters ka daal saktay hain.



#6 Options


Yahan aapse comment ke baray ma pocha jata hai ke kia aap readers ke comment allow karna chahte hain ya nahi matlab ke Readers apki post ke nechay comment kar saktay hain ya aap nahi chahty ke voh comment karen. Agar aap chahte hain ke voh comment karen to Allow ko enable karden, agar aap chahty hain ke voh comment na kar payen aur agar pehly comments jo ho chuke hain unhe dekh saktay hain to dosry option Do not allow, show existing ko Enable karen, agar aap chahty hain ke voh b comments na kar saken aur jo pehly ho chuky hain unhe b na dekh saken to Do not allow, hide existing ko Enable karen.



Umeed karta hun ke aap samajh gaye hongy ke Blog keliye Post kaise likhte hain.